Faisla Dil Se Karain Ya Dimagh Se?

Zindagi ke mukhtalif mamlaat mein faislon ki gharriyan sab se mushkil hoti hain aur wo bhi sirf is waja se ke aksar auqaat aap ka dil kuch aur keh raha hota hai jab ke dimagh kuch aur. Ajeeb si confusion mein mubtala tabiyat se aap baaz dafa isi tara ghalat faislay bhi kar jate hain lekin jab tak ye baat samajh mein aati hai tab tak bohat dair ho chuki hoti hai aur phir jo sawal dimagh mein ata hai wo yahi keh “Faisla Dil Se Karain Ya Dimagh Se”?
Faisla Dil Se Karain Ya Dimagh Se?

Is hawale se pehla point samjhne wala ye hai ke faisla karne ki salahiyat sirf dimagh ke pas he hai. Dil soch nahin sakta wo sirf doran-e-khoon ko flow mein rakhne ke liye banaya gaya organ hai.
- Dusri baat jo samjhne ki hai wo ye keh dimagh ke kuch hisson ka control aap ke pas hai aur kuch ka nahin ya phir bohat kam. Is ki wazahat aese mumkin hai ke dimagh ka aik hissa ap ke iraday par amal ka kam karta hai, aik aap ko har waqt kisi na kisi soch mein rakhta hai jo ke aap ke control mein nahin aur aik wo hissa hai jo ap ki emotions ke sath jurra hota hai aur ye hissa control mein zara kamzor hai.
Faisla Dil Se Karain Ya Dimagh Se?

To ab baat karain ke faisla karna ho to dimagh ke kis hissay se karain? Dimagh ka wo hissa jis ka ekhteyar aap ke pas hai, faisla us se he karna chahiye lekin dehan rahe ke emotions wala hissa bech mein koi rukawat na dalay kyun ke aksar auqaat kharaab faislay isi hissay ki waja se hote hain. Emotions ko manage kar ke dimagh ko focus kar ke faisla karne ke liye istemal karain to sab set!
Faisla Dil Se Karain Ya Dimagh Se?