Wazeer-e-Azam Imran Khan ne apni hakomati team mein mazeed tabdelyion ka ishara dete hue
Headline News:

Wazeer-e-Azam Imran Khan ne apni hakomati team mein mazeed tabdelyion ka ishara dete hue kaha hai ke captain ka maqsad team ko jeetana hota hai aur bator wazeer-e-azam unn ka maqsad apni qoum ko jeetana hai iss liye jo wazeer mulk ke liye faida mand ahi hoga usay tabdeel kar diya jaye ga.

Morghar ke qareeb musafir bUs ulat gayi jis ke nateejay mein 7 afrad jaan-bahaq aur 32 zakhmi ho gaye. police ke mutabiq musafir bUs Mithi se Karachi ja rahi thi ke namaloom wajohat ki bana par ulat gayi, hadsay ke fori baad logon ki barri tadaad mauqa par jama ho gayi aur zakhmion ko qareebi hospital mutaqil kar diya gaya.